Urdu Zaban
ye kaisa ishq hai urdu zaban ka,
maza ghulta hai lafzon ka zaban par
ki jaise pan mein mahnga qimam ghulta hai
ye kaisa ishq hai urdu zaban ka
nasha aata hai urdu bolne mein
gilauri ki tarah hain munh lagi sab istelahen
lutf deti hai, halaq chhuti hai urdu to, halaq se jaise mai ka ghonT utarta hai
baDi aristocracy hai zaban mein
faqiri mein nawabi ka maza deti hai urdu
agarche mani kam hote hai urdu mein
alfaz ki ifraat hoti hai
magar phir bhi, buland aawaz paDhiye to bahut hi mo'tabar lagti hain baaten
kahin kuchh dur se kanon mein paDti hai agar urdu
to lagta hai ki din jaDon ke hain khiDki khuli hai, dhup andar aa rahi hai
ajab hai ye zaban, urdu
kabhi kahin safar karte agar koi musafir sher paDh de 'mir', 'ghaalib' ka
wo chahe ajnabi ho, yahi lagta hai wo mere watan ka hai
baDi shaista lahje mein kisi se urdu sun kar
kya nahin lagta ki ek tahzib ki aawaz hai, urdu
(3095) Peoples Rate This