Taaqub
subh se sham hui aur hiran mujh ko chhalawe deta
sare jangal mein pareshan kiye ghum raha hai ab tak
us ki gardan ke bahut pas se guzre hain kai tir mere
wo bhi ab utna hi hushyar hai jitna main hun
ek jhalak de ke jo gum hota hai wo peDon mein
main wahan pahunchun to Tile pe kabhi chashme ke us par nazar aata hai
wo nazar rakhta hai mujh par
main use aankh se ojhal nahin hone deta
kaun dauDaye hue hai kis ko
kaun ab kis ka shikari hai pata hi nahin chalta
subh utra tha main jangal mein
to socha tha ki us shoKH hiran ko
neze ki nok pe parcham ki tarah tan ke main shahr mein daKHil hunga
din magar Dhalne laga hai
dil mein ek KHauf sa ab baiTh raha hai
ki bil-aKHir ye hiran hi
mujhe singon par uThae hue ek ghaar mein daKHil hoga
(2416) Peoples Rate This