Manzar! Nursing-home
kabhi hathon se uData hun, kabhi marta hun
waqt be-rang se kiDe ki tarah
dast-o-bazu pe mere
rengta rahta hai din bhar
raat bosida razai ki tarah oDhe hue
aur naKHunon se taron ko khurachte rahna
chand bhi ek phaphundi lagi roTi ki tarah sar pe Tanga rahta hai
kaise kaTe koi bimari mein bekari ke din?
ulTi laTki hui botal se utarti hui phiki bunden
dast-o-bazu mein mere
rengti rahti hain din bhar
ek be-rang se kiDe ki tarah!
(1654) Peoples Rate This