Makan
ek luDhki hui wadi mein
bahut niche KHalaon se
jahan dhundli fazaon ka chalan hai
KHasta sa ek makan mujh ko wirasat mein mila hai
jis tarah sukh ke zaKHmon se gira karti hai papDi
us ki diwaron se is tarah se girta hai plastar
ek panw pe khaDe sare sutun thak se gae hain
KHurda danton ki tarah hilti hain har taq mein inTen
moch khai hui kuchh khiDkiyan tirchhi si khaDi hain
kanch dhundlae hue chaTKHe hue
pahle bahar ki taraf khulti thin aflak ki jaanib
ab ye andar bhi nahin khultin agar sans ghuTe
abr-alud hain ab
aur hawaon mein bhi suraKH paDe hain
mera paidaeshi ghar hai mujhe rahna hai yahin par
ek maila sa falak hai to mere sar pe abhi tak
Darta hun gir na paDe sote mein ek roz kahin
(2224) Peoples Rate This