Ghaalib
balli-maran ke mohalle ki wo pechida dalilon ki si galiyan
samne Tal ke nukkaD pe beDon ke qaside
chand darwazon pe laTke hue bosida se kuchh TaT ke parde
aur dhundlai hui sham ke be-nur andhere sae
aise diwaron se munh joD kar chalte hain yahan
chuDi-walan kaTre ki baDi-bi jaise
apni bujhti hui aankhon se darwaze TaTole
is be-nur andheri si gali-qasim se
ek tartib charaghon ki shurua hoti hai
ek quran-e-suKHan ka bhi waraq khulta hai
asadullah-KHan-'ghaalib' ka pata milta hai
(2001) Peoples Rate This