Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_767030d039a049bceb8bc927582a3dbd, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Zikr Hota Hai Jahan Bhi Mere Afsane Ka - Gulzar Poetry In English - Darsaal

Zikr Hota Hai Jahan Bhi Mere Afsane Ka

zikr hota hai jahan bhi mere afsane ka

ek darwaza sa khulta hai kutub-KHane ka

ek sannaTa dabe-panw gaya ho jaise

dil se ek KHauf sa guzra hai bichhaD jaane ka

bulbula phir se chala pani mein ghote khane

na samajhne ka use waqt na samjhane ka

main ne alfaz to bijon ki tarah chhanT diye

aisa miTha tera andaz tha farmane ka

kis ko roke koi raste mein kahan baat kare

na to aane ki KHabar hai na pata jaane ka

(3310) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zikr Hota Hai Jahan Bhi Mere Afsane Ka In English By Famous Poet Gulzar. Zikr Hota Hai Jahan Bhi Mere Afsane Ka is written by Gulzar. Read famous Poem Zikr Hota Hai Jahan Bhi Mere Afsane Ka for youth and Student by Gulzar. Free Download Zikr Hota Hai Jahan Bhi Mere Afsane Ka in PDF.