Kanch Ke Pichhe Chand Bhi Tha Aur Kanch Ke Upar Kai Bhi
kanch ke pichhe chand bhi tha aur kanch ke upar kai bhi
tinon the hum wo bhi the aur main bhi tha tanhai bhi
yaadon ki bauchhaaron se jab palken bhigne lagti hain
sondhi sondhi lagti hai tab mazi ki ruswai bhi
do do shaklen dikhti hain is bahke se aaine mein
mere sath chala aaya hai aap ka ek saudai bhi
kitni jaldi maili karta hai poshaken roz falak
subh hi raat utari thi aur sham ko shab pahnai bhi
KHamoshi ka hasil bhi ek lambi si KHamoshi thi
un ki baat suni bhi hum ne apni baat sunai bhi
kal sahil par leTe leTe kitni sari baaten kin
aap ka hunkara na aaya chand ne baat karai bhi
(2955) Peoples Rate This