Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e089e2bcd093c859970d9cdf1529a920, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dikhai Dete Hain Dhund Mein Jaise Sae Koi - Gulzar Poetry In English - Darsaal

Dikhai Dete Hain Dhund Mein Jaise Sae Koi

dikhai dete hain dhund mein jaise sae koi

magar bulane se waqt lauTe na aae koi

mere mohalle ka aasman suna ho gaya hai

bulandiyon pe ab aa ke peche laDae koi

wo zard patte jo peD se TuT kar gire the

kahan gae bahte paniyon mein bulae koi

zaif bargad ke hath mein rasha aa gaya hai

jaTaen aankhon pe gir rahi hain uThae koi

mazar pe khol kar gireban duaen mangen

jo aae ab ke to lauT kar phir na jae koi

(2342) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dikhai Dete Hain Dhund Mein Jaise Sae Koi In English By Famous Poet Gulzar. Dikhai Dete Hain Dhund Mein Jaise Sae Koi is written by Gulzar. Read famous Poem Dikhai Dete Hain Dhund Mein Jaise Sae Koi for youth and Student by Gulzar. Free Download Dikhai Dete Hain Dhund Mein Jaise Sae Koi in PDF.