Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b67f7185eb17f3527c40f34b9e592503, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Be-sabab Muskura Raha Hai Chand - Gulzar Poetry In English - Darsaal

Be-sabab Muskura Raha Hai Chand

be-sabab muskura raha hai chand

koi sazish chhupa raha hai chand

jaane kis ki gali se nikla hai

jhenpa jhenpa sa aa raha hai chand

kitna ghaza lagaya hai munh par

dhul hi dhul uDa raha hai chand

kaisa baiTha hai chhup ke patton mein

baghban ko sata raha hai chand

sidha-sada ufuq se nikla tha

sar pe ab chaDhta ja raha hai chand

chhu ke dekha to garm tha matha

dhup mein khelta raha hai chand

(2511) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Be-sabab Muskura Raha Hai Chand In English By Famous Poet Gulzar. Be-sabab Muskura Raha Hai Chand is written by Gulzar. Read famous Poem Be-sabab Muskura Raha Hai Chand for youth and Student by Gulzar. Free Download Be-sabab Muskura Raha Hai Chand in PDF.