Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_cf647c5d5fefd5e002cdea4344cf08fe, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aisa KHamosh To Manzar Na Fana Ka Hota - Gulzar Poetry In English - Darsaal

Aisa KHamosh To Manzar Na Fana Ka Hota

aisa KHamosh to manzar na fana ka hota

meri taswir bhi girti to chhanaka hota

yun bhi ek bar to hota ki samundar bahta

koi ehsas to dariya ki ana ka hota

sans mausam ki bhi kuchh der ko chalne lagti

koi jhonka teri palkon ki hawa ka hota

kanch ke par tere hath nazar aate hain

kash KHushbu ki tarah rang hina ka hota

kyun meri shakl pahan leta hai chhupne ke liye

ek chehra koi apna bhi KHuda ka hota

(1951) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aisa KHamosh To Manzar Na Fana Ka Hota In English By Famous Poet Gulzar. Aisa KHamosh To Manzar Na Fana Ka Hota is written by Gulzar. Read famous Poem Aisa KHamosh To Manzar Na Fana Ka Hota for youth and Student by Gulzar. Free Download Aisa KHamosh To Manzar Na Fana Ka Hota in PDF.