Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d0b17b0868a034c28b2c214da6173dbd, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tare Hamari KHak Mein Bikhre PaDe Rahe - Gulzar Vafa Chaudari Poetry In English - Darsaal

Tare Hamari KHak Mein Bikhre PaDe Rahe

tare hamari KHak mein bikhre paDe rahe

ye kya ki tere nain falak se laDe rahe

hum the safar-nasib so manzil se ja mile

jo sang-e-mil the wo zamin mein gaDe rahe

logon ne inT inT par qabza jama liya

hum dam-ba-KHud makan se bahar khaDe rahe

hum ko to jhulna hi tha insaf ke liye

ye kil kyun salib mein nahaq jaDe rahe

ranai apni chhinta hai mausamon se ab

mazi mein jis daraKHt ke patte jhaDe rahe

jin ki jaDen zamin ke andar thin dur tak

wo peD aankhiyon ke muqabil aDe rahe

(784) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tare Hamari KHak Mein Bikhre PaDe Rahe In English By Famous Poet Gulzar Vafa Chaudari. Tare Hamari KHak Mein Bikhre PaDe Rahe is written by Gulzar Vafa Chaudari. Read famous Poem Tare Hamari KHak Mein Bikhre PaDe Rahe for youth and Student by Gulzar Vafa Chaudari. Free Download Tare Hamari KHak Mein Bikhre PaDe Rahe in PDF.