Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1c616a830a9975eadb5ff027088e7bdd, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kaun Si Manzil Hai Jo Be-KHwab Aankhon Mein Nahin - Gulzar Vafa Chaudari Poetry In English - Darsaal

Kaun Si Manzil Hai Jo Be-KHwab Aankhon Mein Nahin

kaun si manzil hai jo be-KHwab aankhon mein nahin

ek suraj DhunDhta hun jo ki sapnon mein nahin

dekhta rahta hun miTte shahr ke naqsh-o-nigar

aankh mein wo suraten bhi hain ki galiyon mein nahin

mausamon ka ruKH udhar ko hai hawaon ka idhar

jangalon mein baat koi hai ki shahron mein nahin

pili pili titliyan hain aur mahrumi ka raqs

kaun sa wo zaiqa hoga ki phulon mein nahin

yun to har jaanib khaDe hain ye qatar-andar-qatar

ek ThanDak hai ki in peDon ke sayon mein nahin

chand taron ki ziyaen kahkashaon ke hujum

kaun sa wo aasman hai jo zaminon mein nahin

(794) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaun Si Manzil Hai Jo Be-KHwab Aankhon Mein Nahin In English By Famous Poet Gulzar Vafa Chaudari. Kaun Si Manzil Hai Jo Be-KHwab Aankhon Mein Nahin is written by Gulzar Vafa Chaudari. Read famous Poem Kaun Si Manzil Hai Jo Be-KHwab Aankhon Mein Nahin for youth and Student by Gulzar Vafa Chaudari. Free Download Kaun Si Manzil Hai Jo Be-KHwab Aankhon Mein Nahin in PDF.