Dhul Na Banna Aainon Par Bar Na Hona
dhul na banna aainon par bar na hona
binai ke raste ki diwar na hona
shahron ka wirsa hain jalte-bujhte manzar
rahna lekin ham-rang-e-bazar na hona
zahr-hawaen purwa rangon mein chalti hain
sada kaliyo un ke liye gulnar na hona
milne ka khilne ka mausam dur nahin hai
naKHl-e-matam ai mere ashjar na hona
main ne chaman ki KHatir kaun se dukh jhele hain
shaKH-e-bahaaran mere liye gul-bar na hona
(796) Peoples Rate This