Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8114c83c76a0a35604d4eb3f0536f087, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Bosida Imaraat Ko Mismar Kiya Hai - Gulzar Vafa Chaudari Poetry In English - Darsaal

Bosida Imaraat Ko Mismar Kiya Hai

bosida imaraat ko mismar kiya hai

hum logon ne har rah ko hamwar kiya hai

yun markazi kirdar mein hum Dube hain jaise

KHud hum ne Darame ka ye kirdar kiya hai

diwar ki har KHisht pe likkhe hain matalib

yun shahr ko aaina-e-izhaar kiya hai

binai mere shahr mein ek jurm hai lekin

har aankh ko rangon ne giraftar kiya hai

darpesh abad tak ka safar hai to badan ko

kyun bar-kash-e-saya-e-ashjar kiya hai

(813) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bosida Imaraat Ko Mismar Kiya Hai In English By Famous Poet Gulzar Vafa Chaudari. Bosida Imaraat Ko Mismar Kiya Hai is written by Gulzar Vafa Chaudari. Read famous Poem Bosida Imaraat Ko Mismar Kiya Hai for youth and Student by Gulzar Vafa Chaudari. Free Download Bosida Imaraat Ko Mismar Kiya Hai in PDF.