Zabte Aur Hi Misdaq Pe Rakkhe Hue Hain
zabte aur hi misdaq pe rakkhe hue hain
aaj-kal sidq-o-safa taq pe rakkhe hue hain
wo jo KHud marka-e-ishq mein utre bhi nahin
shikwa paspai ka ushshaq pe rakkhe hue hain
bandh rakkha hai mohabbat ne azal se hum ko
so tawajjoh isi misaq pe rakkhe hue hain
daKHl aankhon ka ulajhne mein bahut hai lekin
tohmaten sab dil-e-mushtaq pe rakkhe hue hain
jaane kab silsila-e-KHair-o-KHabar ka ho zuhur
dhyan hum anfus o aafaq pe rakkhe hue hain
dekhiye kaun sa mafhum liya jaega
baat kar ke nazar itlaq pe rakkhe hue hain
tabish-e-shauq se alfaz hain raushan 'gulzar'
ya sitare kaf-e-auraq pe rakkhe hue hain
(749) Peoples Rate This