Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0e4b9f337a73dd49020e128f492e5a98, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Us Ka Chehra Bhi Chamak Mein Na Misali Nikla - Gulzar Bukhari Poetry In English - Darsaal

Us Ka Chehra Bhi Chamak Mein Na Misali Nikla

us ka chehra bhi chamak mein na misali nikla

chand suraj ke ujalon ka sawali nikla

log samjha kiye mausam hi nahin uDne ka

us ki uzlat ka sabab be-par-o-baali nikla

phul to mil gaya KHushbu na magar hath lagi

us ko pane ka junun KHam-KHayali nikla

barish-e-sang mein bhi aai dua honTon par

sab ne kam-tar jise jaana tha wo aali nikla

be-hadaf tir chalata raha koi 'gulzar'

jab zarurat paDi tarkash wahan KHali nikla

(878) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Us Ka Chehra Bhi Chamak Mein Na Misali Nikla In English By Famous Poet Gulzar Bukhari. Us Ka Chehra Bhi Chamak Mein Na Misali Nikla is written by Gulzar Bukhari. Read famous Poem Us Ka Chehra Bhi Chamak Mein Na Misali Nikla for youth and Student by Gulzar Bukhari. Free Download Us Ka Chehra Bhi Chamak Mein Na Misali Nikla in PDF.