Aaine Ka Munh Bhi Hairat Se Khula Rah Jaega
aaine ka munh bhi hairat se khula rah jaega
jo bhi dekhega tujhe wo dekhta rah jaega
hum ne sab kuchh taj diya teri rifaqat ke liye
tujh se bichhDe to hamare pas kya rah jaega
mil sakenge kis tarah KHwabon mein hum jab hijr se
nind ho jaegi ruKHsat ratjaga rah jaega
hum agar teri raza hasil nahin kar paenge
umr bhar hum se hamara dil KHafa rah jaega
jaane walon ki kami puri kabhi hoti nahin
aane wale aaenge phir bhi KHala rah jaega
murtaish aawaz ki lahren rahengi der tak
saz chup ho jaenge sail-e-sada rah jaega
'hir' ko 'gulzar' le jaenge kheDe ek din
bansuri par tu dhunen hi chheDta rah jaega
(1122) Peoples Rate This