Raat Har Bar Liye
raat har bar liye
KHauf ke KHali paikar
KHun mera mangne
be-KHauf chali aati hai
aur jalti hui aankhon ke
tahayyur ke tale
ek sannaTa
bahut shor kiya karta hai
kuchh to kaTta hai
taDapta hai
bahata hai lahu
aur khul jate hain
reshon ke purane baKHiye
raat har bar meri
jagti palken chun kar
andhe gumnam darichon pe
saja jati hai
aur dhundlae hue
gard-zada raston mein
ek aahaT ka sira hai
jo nahin milta hai
aasman gili chaTanon pe
Tikae chehra
siskiyan leta hai
sahme hue bachche ki tarah
aur darichon pe dhari
kanpti palken meri
gul-zaminon ke nae
KHwab buna karti hain
(985) Peoples Rate This