Main Nahin Hun Magar

main nahin hun magar

ab bhi khilte hain khiDki ke daen taraf

phul bal khai uljhi hui bel par

zindagi ke kisi faisle ki

ghaDi se ulajhte hue

main khurachta raha tha ye roghan

jami hai yahan aaj tak

nanhe dhabbe mein ek

be-kali mere ehsas ki

aur qalin par

meri pyali se chhalki hui

chae ka ek purana nishan

ab bhi takta hai maTyali aankhon se

chhat ki taraf

aaj bhi hain paDi shelf par

jo kitaben KHaridi thin

main ne bahut pyar se

aaj bhi hain juDe

kaghazon ke hasin aainon mein

meri sukhi poron se phuTe hue

kale harfon ke chehre ajab shan se

main to hairan hun

mujh se mansub har ek shai

jun ki tun hai to kya

ek main hi tha jo

ek main hi tha pani ke

sine pe rakha hua naqsh jo

pal do pal ko bana aur miT bhi gaya

(906) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Nahin Hun Magar In English By Famous Poet Gulnaz Kausar. Main Nahin Hun Magar is written by Gulnaz Kausar. Read famous Poem Main Nahin Hun Magar for youth and Student by Gulnaz Kausar. Free Download Main Nahin Hun Magar in PDF.