Yaad Karne Ka Tumhein Koi Irada Bhi Na Tha

yaad karne ka tumhein koi irada bhi na tha

aur tumhein dil se bhula den ye gawara bhi na tha

har taraf tapti hui dhup thi ai umr-e-rawan

dur tak dasht-e-alam mein koi saya bhi na tha

mishal-e-jaan bhi jalai na gai thi hum se

aur palkon pe shab-e-gham koi tara bhi na tha

hum sar-e-rah-e-wafa us ko sada kya dete

jaane wale ne palaT kar hamein dekha bhi na tha

ho gai KHatm sarabon mein bhaTakti hui zist

dil mein hasrat hi rahi dasht mein dariya bhi na tha

kis KHamoshi se jala daman-e-dil ai 'gulnar'

koi shola bhi na tha koi sharara bhi na tha

(836) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaad Karne Ka Tumhein Koi Irada Bhi Na Tha In English By Famous Poet Gulnar Aafreen. Yaad Karne Ka Tumhein Koi Irada Bhi Na Tha is written by Gulnar Aafreen. Read famous Poem Yaad Karne Ka Tumhein Koi Irada Bhi Na Tha for youth and Student by Gulnar Aafreen. Free Download Yaad Karne Ka Tumhein Koi Irada Bhi Na Tha in PDF.