Wo Charagh-e-zist Ban Kar Rah Mein Jalta Raha
wo charagh-e-zist ban kar rah mein jalta raha
hath mein wo hath le kar umr bhar chalta raha
ek aansu yaad ka Tapka to dariya ban gaya
zindagi bhar mujh mein ek tufan sa palta raha
jaanti hun ab use main pa nahin sakti magar
har jagah sae ki surat sath kyun chalta raha
jo meri nazron se ojhal ho chuka muddat hui
wo KHayalon mein basa aur sher mein Dhalta raha
ranj tha 'gulnar' mujh ko us ko bhi afsos tha
der tak rota raha aur hath bhi malta raha
(824) Peoples Rate This