Hamara Nam Pukare Hamare Ghar Aae
hamara nam pukare hamare ghar aae
ye dil talash mein jis ki hai wo nazar aae
na jaane shahr-e-nigaran pe kya guzarti hai
faza-e-dasht-e-alam koi to KHabar aae
nishan bhul gai hun main rah-e-manzil ka
KHuda kare ki mujhe yaad-e-rahguzar aae
main aandhiyon mein bhi phulon ke rang paDh lungi
tere badan ki mahak lauT kar agar aae
ghubar gham ka dayar-e-wafa mein uDta hai
magar ye ashk bahut kaam chashm-e-tar aae
safar ka rang hasin qurbaton ka hamil ho
bahaar ban ke koi ab to ham-safar aae
nai sahar ka main 'gulnar' istiara hun
faza-e-tira-shabi KHatm ho sahar aae
(984) Peoples Rate This