Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_aee9a84828ee915ab24684799e0423a0, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dil Ne Ek Aah Bhari Aankh Mein Aansu Aae - Gulnar Aafreen Poetry In English - Darsaal

Dil Ne Ek Aah Bhari Aankh Mein Aansu Aae

dil ne ek aah bhari aankh mein aansu aae

yaad gham ke hamein kuchh aur bhi pahlu aae

zulmat-e-shab mein hai ru-posh nishan-e-manzil

ab mujhe rah dikhane koi jugnu aae

dil ka har zaKHm teri yaad ka ek phul bane

mere pairahan-e-jaan se teri KHushbu aae

tishna-kaamon ki kahin pyas bujha karti hai

dasht ko chhoD ke ab kaun lab-e-ju aae

ek parchhain tasawwur ki mere sath rahe

main tujhe bhulun magar yaad mujhe tu aae

main yahi aas liye gham ki kaDi dhup mein hun

dil ke sahra mein tere pyar ka aahu aae

dil pareshan hai 'gulnar' to mahaul udas

ab zarurat hai koi mutrib-e-KHush-KHu aae

(891) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ne Ek Aah Bhari Aankh Mein Aansu Aae In English By Famous Poet Gulnar Aafreen. Dil Ne Ek Aah Bhari Aankh Mein Aansu Aae is written by Gulnar Aafreen. Read famous Poem Dil Ne Ek Aah Bhari Aankh Mein Aansu Aae for youth and Student by Gulnar Aafreen. Free Download Dil Ne Ek Aah Bhari Aankh Mein Aansu Aae in PDF.