Aansu Bhi Wahi Karb Ke Sae Bhi Wahi Hain
aansu bhi wahi karb ke sae bhi wahi hain
hum gardish-e-dauran ke satae bhi wahi hain
kya baat hai kyun shahr mein ab ji nahin lagta
haalanki yahan apne parae bhi wahi hain
auraq-e-dil-o-jaan pe jinhen tum ne likha hai
naghmat-e-alam hum ne sunae bhi wahi hain
ai josh-e-junun dard ka aalam bhi wahi hai
ai wahshat-e-jaan dard ke sae bhi wahi hain
dekha hai jinhen aah-ba-lab chaak-gareban
har dagh-e-alam dil mein chhupae bhi wahi hain
sau rang bikherenge mohabbat ke shagufe
'gulnar' chaman mein hamein lae bhi wahi hain
(869) Peoples Rate This