Aankh Mein Ashk Liye KHak Liye Daman Mein

aankh mein ashk liye KHak liye daman mein

ek diwana nazar aata hai kab se ban mein

mere ghar ke bhi dar-o-baam kabhi jagenge

dhup niklegi kabhi to mere bhi aangan mein

kahiye aaina-e-sad-fasl-e-bahaaran tujh ko

kitne phulon ki mahak hai tere pairahan mein

shab-e-tarik mera rasta kya rokegi

mere aanchal mein sitare hain sahar daman mein

kin shahidon ke lahu ke ye farozan hain charagh

raushni si jo hai zindan ke har ek rauzan mein

ahd-e-rafta ki tamanna ka fusun zinda hai

dil-e-nakaam abhi tak teri har dhaDkan mein

hamein manzur nahin agli rawayat-e-junun

ba-KHirad ho gai 'gulnar' diwana-pan mein

(852) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankh Mein Ashk Liye KHak Liye Daman Mein In English By Famous Poet Gulnar Aafreen. Aankh Mein Ashk Liye KHak Liye Daman Mein is written by Gulnar Aafreen. Read famous Poem Aankh Mein Ashk Liye KHak Liye Daman Mein for youth and Student by Gulnar Aafreen. Free Download Aankh Mein Ashk Liye KHak Liye Daman Mein in PDF.