Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6f2ac12e7ab8201bdc22831e66042d65, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Yun To Dil Har Kadam Rakhta Hai - Gulam Yahya Huzur Azimabadi Poetry In English - Darsaal

Yun To Dil Har Kadam Rakhta Hai

yun to dil har kadam rakhta hai

ahl-e-dil hona kaam rakhta hai

kab wo tama-e-salam rakhta hai

mujh sa lakhon ghulam rakhta hai

ishrat-e-do-jahan hai us ke sath

jo surahi-o-jam rakhta hai

hai wahi KHas bazm-e-duniya mein

jo madara-e-am rakhta hai

din-o-duniya ka jo nahin paband

wo faraghat tamam rakhta hai

but-paraston ko kui kahe hai zubun

kui musalman ko nam rakhta hai

har koi apni fahm-e-naqis mein

puKHta sauda-e-KHam rakhta hai

jo kisu ko bura kahe na 'huzur'

wahi fahm-mand nam rakhta hai

(710) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yun To Dil Har Kadam Rakhta Hai In English By Famous Poet Gulam Yahya Huzur Azimabadi. Yun To Dil Har Kadam Rakhta Hai is written by Gulam Yahya Huzur Azimabadi. Read famous Poem Yun To Dil Har Kadam Rakhta Hai for youth and Student by Gulam Yahya Huzur Azimabadi. Free Download Yun To Dil Har Kadam Rakhta Hai in PDF.