Us ShoKH Se Kya Kijiye Izhaar-e-tamanna
us shoKH se kya kijiye izhaar-e-tamanna
ye log koi sunte hain guftar-e-tamanna
ek aarzu sab le gae sath apne jahan se
anjam kisu se na hua kar-e-tamanna
ye KHubi-e-qismat ki mile bagh-e-jahan se
sab ko gul-e-umid o hamein KHar-e-tamanna
hasrat se bhara dil mere pahlu mein nahin hai
phirta hun baghal mein liye tumar-e-tamanna
pahlu ko mere bagh kiya ishq ne tere
zaKHmon se mera dil hua gulzar-e-tamanna
murdon se 'huzur' ho na sake minnat-e-duna
sar jae par un se na uThe bar-e-tamanna
(772) Peoples Rate This