Tuk Dekhiyo Ye Abru-e-KHamdar Wahi Hai
Tuk dekhiyo ye abru-e-KHamdar wahi hai
kushta hun main jis ka so ye tarwar wahi hai
mansur sa koi na hua KHalq jahan mein
is mamlakat-e-faqr ka sardar wahi hai
puchha jo main us se ki 'huzur' aisa koi aur
gahak bhi hai ya ek KHaridar wahi hai
itni jo aziyyat use deta hai tu har dam
kya qabil-e-jaur-o-sitam ai yar wahi hai
kahne laga hum logon ka mashrab to yahi hai
jo koi bahut chahe gunahgar wahi hai
(622) Peoples Rate This