Mahzun Na Ho Huzur Ab Aata Hai Yar Apna
mahzun na ho 'huzur' ab aata hai yar apna
karta hai fazl tujh par parwardigar apna
jab se gaya wo mah-ru aaghosh se hamari
rahta hai jyun mah-e-nau KHali kanar apna
zulf-o-ruKH-e-sanam ke gham mein sada rahe hum
guzra hamesha yun hi lail-o-nahaar apna
ai be-KHudi-e-mai tu aa dosh par uTha le
uThta nahin mujh se ab bojh-bhaar apna
mahbub hain jahan tak nahin aashna kasu ke
hote nahin hain apne kije hazar apna
kahne se sher ke kuchh hasil nahin magar han
ye hai ki baad apne ho yaadgar apna
aazurda kuchh hain shayad warna 'huzur' mujh se
kyun munh phula raha hai wo gul-ezar apna
(808) Peoples Rate This