Gul-ezar Aur Bhi Yun Rakhte Hain Rang Aur Namak

gul-ezar aur bhi yun rakhte hain rang aur namak

par mere yar ke chehre ka sa Dhang aur namak

husn us shoKH ka hai bas ki malih us ki nigah

dil pe karte hain mere kar-e-KHadang aur namak

ghuncha-e-gul mein wa bulbul mein hui be-mazagi

dekh gulshan mein dahan yar ka tang aur namak

dard-e-hijran se ba-tang aapi hun naseh se kaho

zaKHm par mere na chhiDke ye dabang aur namak

suKHan-e-waz-o-nasihat dil-e-pur-KHun ko 'huzur'

yun hai jyun shisha-e-mai ke liye sang aur namak

(891) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gul-ezar Aur Bhi Yun Rakhte Hain Rang Aur Namak In English By Famous Poet Gulam Yahya Huzur Azimabadi. Gul-ezar Aur Bhi Yun Rakhte Hain Rang Aur Namak is written by Gulam Yahya Huzur Azimabadi. Read famous Poem Gul-ezar Aur Bhi Yun Rakhte Hain Rang Aur Namak for youth and Student by Gulam Yahya Huzur Azimabadi. Free Download Gul-ezar Aur Bhi Yun Rakhte Hain Rang Aur Namak in PDF.