Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_840794486f703621f46f5684788716c6, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ghair Aae Pichhe Pa Gae Mujre Ka Bar Pahle - Gulam Yahya Huzur Azimabadi Poetry In English - Darsaal

Ghair Aae Pichhe Pa Gae Mujre Ka Bar Pahle

ghair aae pichhe pa gae mujre ka bar pahle

hum aah baiThe rah gae aae hazar pahle

main arz-e-haal us se kyun kar karun mukarrar

koi bol bhi sake hai wan ek bar pahle

gar jaante ki aaKHir KHwahan-e-jaan to hoga

dil dete pichhe ji ko karte nisar pahle

jaana na tha pareshan kar degi tu wagarna

hum pech mein bhi aate ai zulf-e-yar pahle

maqtal mein jab wo qatil tarwar le ke aaya

kahne laga huzur aa le tu hi war pahle

main sar jhuka ke aage pahuncha hai aur kiya arz

is se bhi kuchh hai behtar hazir hun yar pahle

tab dekh dekh bola tarsa ke marna hai

nin marne ka tujh ko main zinhaar pahle

(700) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghair Aae Pichhe Pa Gae Mujre Ka Bar Pahle In English By Famous Poet Gulam Yahya Huzur Azimabadi. Ghair Aae Pichhe Pa Gae Mujre Ka Bar Pahle is written by Gulam Yahya Huzur Azimabadi. Read famous Poem Ghair Aae Pichhe Pa Gae Mujre Ka Bar Pahle for youth and Student by Gulam Yahya Huzur Azimabadi. Free Download Ghair Aae Pichhe Pa Gae Mujre Ka Bar Pahle in PDF.