Ashk Aankhon Ke Andar Na Raha Hai Na Rahega
ashk aankhon ke andar na raha hai na rahega
ye tifl hai abtar na raha hai na rahega
munim na ho maghrur sada pas kasu ke
sim-o-zar-o-gauhar na raha hai na rahega
gar aish mayassar ho to kar lije kam-o-besh
sab waqt barabar na raha hai na rahega
aankhon se isi tarah agar sail rawan hai
duniya mein koi ghar na raha hai na rahega
jab duKHtar-e-raz le ke 'huzur' aa gaya saqi
phir zohd baradar na raha hai na rahega
(702) Peoples Rate This