Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_3fe563818c84bc7ad692da4bf49efc44, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aankhon Ka KHuda Hi Hai Ye Aansu Ki Hai Gar Mauj - Gulam Yahya Huzur Azimabadi Poetry In English - Darsaal

Aankhon Ka KHuda Hi Hai Ye Aansu Ki Hai Gar Mauj

aankhon ka KHuda hi hai ye aansu ki hai gar mauj

kashti bache kyunkar jo rahe aaTh pahar mauj

ai bahr na tu itna umanD chal mere aage

ro ro ke Duba dunga kabhi aa gai gar mauj

pahuncha nahin gar tera qadam ta-lab-e-dariya

sahil se paTak sar ko hai kyun KHak-ba-sar mauj

gar aalam-e-ab is ka kamin-gah nahin hai

kyun tair-e-bismil ki tarah mare hai par mauj

uThte nahin sahil ki misal apne makan se

dariya ki tarah marte hain apne hi ghar mauj

kya puchhte ho ashk ke dariya ka talatum

jati hai nazar jis taraf aati hai nazar mauj

gar nahin hai 'huzur' us ko hawas did ki us ke

kyun khole hababon se hai yun dida-e-tar mauj

(713) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhon Ka KHuda Hi Hai Ye Aansu Ki Hai Gar Mauj In English By Famous Poet Gulam Yahya Huzur Azimabadi. Aankhon Ka KHuda Hi Hai Ye Aansu Ki Hai Gar Mauj is written by Gulam Yahya Huzur Azimabadi. Read famous Poem Aankhon Ka KHuda Hi Hai Ye Aansu Ki Hai Gar Mauj for youth and Student by Gulam Yahya Huzur Azimabadi. Free Download Aankhon Ka KHuda Hi Hai Ye Aansu Ki Hai Gar Mauj in PDF.