Aap Hi NaKHuda Raha Hun Main

aap hi naKHuda raha hun main

aap hi Dubta raha hun main

ishq se aashna raha hun main

husn ka muddaa raha hun main

kahin tera bharam na khul jae

KHud ko KHud se chhupa raha hun main

raunaq-e-do-jahan mujhi se hain

aa raha hun main ja raha hun main

jaise koi bhi haq na ho mujh ko

yun tujhe dekhta raha hun main

ai junun ab to rahbari farma

harf-e-matlab pe aa raha hun main

mere zimme hai kis qadar mushkil

jagte ko jaga raha hun main

ai KHuda tujh se kuchh na mang sakun

ye dua mangta raha hun main

gumrahi ka mujhe na de ilzam

tujh ko pahchanta raha hun main

ye zamana bhi dekhna tha mujhe

tujh se aankhen chura raha hun main

zarf mera buland hai 'tariq'

jaan kar haarta raha hun main

(642) Peoples Rate This

Gulam Rasool Tariq's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Aap Hi NaKHuda Raha Hun Main In English By Famous Poet Gulam Rasool Tariq. Aap Hi NaKHuda Raha Hun Main is written by Gulam Rasool Tariq. Read famous Poem Aap Hi NaKHuda Raha Hun Main for youth and Student by Gulam Rasool Tariq. Free Download Aap Hi NaKHuda Raha Hun Main in PDF.