Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_5ba3c438c26f4cfd93a2235482ba12a8, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Shahr-e-jaan Ki Fasilon Se Bahar - Gulam Jilani Asghar Poetry In English - Darsaal

Shahr-e-jaan Ki Fasilon Se Bahar

mujhe shahr-e-jaan mein kahan tum miloge

yahan to zamistan ki yaKH-bastagi hai

daron aur darichon

gharon ki fasilon par kai jami hai

hawa apne hathon mein KHanjar uThae

gali mein khaDi dastaken de rahi hai

main sahma hua ye sada sun raha hun

meri haDDiyon ke nihan mabadon mein

kahin aag ka ek sharara nahin hai

charaghon ki sari lawen bujh gai hain

andhere ka koi kinara nahin hai

magar hum milenge

hawaon mein jab taza rut ke shagufe khilenge

parindon ki chahkar

patton ke jhurmuT se bahar nikal kar

nae mausamon ka swagat karegi

to hum tum milenge

magar shahr-e-jaan ki fasilon se bahar milenge

(674) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shahr-e-jaan Ki Fasilon Se Bahar In English By Famous Poet Gulam Jilani Asghar. Shahr-e-jaan Ki Fasilon Se Bahar is written by Gulam Jilani Asghar. Read famous Poem Shahr-e-jaan Ki Fasilon Se Bahar for youth and Student by Gulam Jilani Asghar. Free Download Shahr-e-jaan Ki Fasilon Se Bahar in PDF.