Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_43571f8f18c6f1fe01fe9e878c49bbc2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tu Ang Ang Mein KHushbu Si Ban Gaya Hoga - Gulam Jilani Asghar Poetry In English - Darsaal

Tu Ang Ang Mein KHushbu Si Ban Gaya Hoga

tu ang ang mein KHushbu si ban gaya hoga

main sochta hun ki tujh se gurez kya hoga

tamam raat mere dil se aanch aati rahi

kahin qarib koi shahr jal raha hoga

tu mere sath bhi rah kar mere qarib na tha

ab is se aur fuzun fasla bhi kya hoga

mujhe KHud apni wafa par bhi e'timad nahin

kabhi to tu bhi meri tarah sochta hoga

kabhi to sang-e-malamat kahin se aaega

koi to shahr mein apna bhi aashna hoga

zara si baat pe kya doston ke munh aaen

gharib dil tha murawwat mein jal-bujha hoga

(846) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tu Ang Ang Mein KHushbu Si Ban Gaya Hoga In English By Famous Poet Gulam Jilani Asghar. Tu Ang Ang Mein KHushbu Si Ban Gaya Hoga is written by Gulam Jilani Asghar. Read famous Poem Tu Ang Ang Mein KHushbu Si Ban Gaya Hoga for youth and Student by Gulam Jilani Asghar. Free Download Tu Ang Ang Mein KHushbu Si Ban Gaya Hoga in PDF.