Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6c77d2bd0f932ce0c96801546dada4ad, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kuchh Tumhaari Anjuman Mein Aise Diwane Bhi The - Gulam Jilani Asghar Poetry In English - Darsaal

Kuchh Tumhaari Anjuman Mein Aise Diwane Bhi The

kuchh tumhaari anjuman mein aise diwane bhi the

jo ba-kar-e-KHwesh diwane bhi farzane bhi the

yun to har surat pe tha beganagi ka shaiba

un mein kuchh aise bhi the jo jaane-pahchane bhi the

sab ba-taufiq-e-murawwat dosti karte rahe

log kya karte ki KHud un ke sanam-KHane bhi the

tu ne apni aagahi ke zarf se jaancha mujhe

aagahi na-agahi ke aur paimane bhi the

dil ke jaane ka ba-har-surat bahut sadma hua

us se wabasta kai logon ke afsane bhi the

(675) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Tumhaari Anjuman Mein Aise Diwane Bhi The In English By Famous Poet Gulam Jilani Asghar. Kuchh Tumhaari Anjuman Mein Aise Diwane Bhi The is written by Gulam Jilani Asghar. Read famous Poem Kuchh Tumhaari Anjuman Mein Aise Diwane Bhi The for youth and Student by Gulam Jilani Asghar. Free Download Kuchh Tumhaari Anjuman Mein Aise Diwane Bhi The in PDF.