Ab Ke Bazar Mein Ye Turfa Tamasha Dekha
ab ke bazar mein ye turfa tamasha dekha
bechne nikle to yusuf ka KHaridar na tha
dosto rasm-e-mohabbat pe ye kya bait gai
shahr-e-yaran mein koi shaKHs sar-e-dar na tha
aur bhi log the taufiq-e-wafa rakhte the
ek main hi to tere gham ka saza-war na tha
dil ke kahne pe laga li hai wafa ki tohmat
warna jina to mujhe bais-e-azar na tha
maslahat-kesh bane baiThe hain sab ahl-e-wafa
itna ruswa to kabhi ishq ka pindar na tha
tujh ko chaha to kisi aur ko chaha na gaya
main to fankar tha 'ghaalib' ka taraf-dar na tha
(940) Peoples Rate This