Waraq Waraq Jo Zamane Ke Shahkar Mein Tha
waraq waraq jo zamane ke shahkar mein tha
wo zindagi ka sahifa bhi intishaar mein tha
jise main DhunD raha tha nawa-e-bulbul mein
wo naghma pairahan-e-gul ke tar tar mein tha
main qatl ho ke zamane mein sarfaraaz raha
ki meri jit ka pahlu bhi meri haar mein tha
kaleje sare daraKHton ke sahme jate the
hawa ka ruKH tha bhala kis ke iKHtiyar mein tha
wo na-shanas-wafa sej par tha phulon ki
main aashna-e-wafa dasht-e-KHar-KHar mein tha
dayar-e-ghair mein hasil thin shohraten mujh ko
main ajnabi ki tarah apne hi dayar mein tha
samajh raha tha main KHwabida KHud ko sahil par
khuli jab aankh to dariya ki tez dhaar mein tha
nigah walon mein us ka bharam na rah paya
wo sang tha magar aainon ki qatar mein tha
mohabbaten thin mere iKHtiyar mein lekin
mohabbaton ka sila us ke iKHtiyar mein tha
chamak raha wahi gauhar-e-wafa ban kar
'guhar' jo ashk meri chashm-e-intizar mein tha
(916) Peoples Rate This