Waqar De Ke Kabhi Be-waqar Mat Karna
waqar de ke kabhi be-waqar mat karna
hamein KHuda ke liye sharmsar mat karna
nikalna jab kabhi le kar charagh basti mein
andhere ghar bhi milenge shumar mat karna
usi ka aaj bhi hum intizar karte hain
jo kah gaya tha mera intizar mat karna
ye mana aaj zamana hai bewafai ka
magar tum aisa chalan iKHtiyar mat karna
safar ke mare hue aasman ke panchhi
sukun se baiThe hain un ka shikar mat karna
dil iztirab ki had se guzar gaya ai dost
naya ab aur koi mujh pe war mat karna
kahin bikhar ke na rah jae gham fazaon mein
qaba-e-ghuncha-e-dil tar-tar mat karna
meri KHata ko karam ki rida uDha dena
mujhe zamane ki nazron mein KHwar mat karna
jab iKHtilaf mein sar ko uThae hon maujen
to ai 'guhar' kabhi dariya ko par mat karna
(1190) Peoples Rate This