Tufan Samundar Ke Na Dariya Ke Bhanwar Dekh
tufan samundar ke na dariya ke bhanwar dekh
sahil ki tamanna hai to maujon ka safar dekh
KHushiyon ka KHazina tah-e-daman-e-alam hai
guzre shab-e-tarik to phir nur-e-sahar dekh
uD jaana falak tak koi mushkil nahin lekin
suraj ke tamazat se jhulas jaen na par dekh
mearaj hai mearaj tere zauq-e-nazar ki
har manzar-e-dil-kash yahi kahta hai udhar dekh
chashme hain na dariya na samundar hai na jhilen
hai pyas ki aalam hain sarabon ka safar dekh
Takraen to sahraon mein bhi aag laga den
poshida rag-e-sang mein hain kitne sharar dekh
tu ne to meri samt se munh moD liya hai
ab hoti hai kis tarah meri umr basar dekh
tu apni hifazat ki dua mang chuka hai
ab baiTh ke KHalwat mein duaon ka asar dekh
is kar-gah-e-dahr mein ai rahmat-e-alam
ek main hi nahin sab hain tere dast-e-nigar dekh
kya tah mein samundar ki 'guhar' DhunD raha hai
meri sadaf-e-chashm mein ashkon ke 'guhar' dekh
(953) Peoples Rate This