Tarikiyon Mein Apni Ziya ChhoD Jaunga
tarikiyon mein apni ziya chhoD jaunga
guzrunga main to naqsh-e-wafa chhoD jaunga
duniya ke log sunte rahenge tamam umr
lafzon mein apne dil ki sada chhoD jaunga
apne lahu se phul khila kar hayat ke
har samt KHushbuon ki faza chhoD jaunga
rakhengi yaad husn ki ranaiyan mujhe
wo gulistan mein rang naya chhoD jaunga
har ek qadam banegi jo tahzib ki misal
wo zindagi ki tarz-e-ada chhoD jaunga
sinchega phir chaman mein use mere baad kaun
jis peD ko yahan main hara chhoD jaunga
ye sochta hun jab kabhi hoga mera safar
kya kya main le ke jaunga kya chhoD jaunga
tarke mein kuchh bhi chhoDun na chhoDun yahan magar
bachchon ke haq mein apni dua chhoD jaunga
pahunchega faiz jis se zamane ko ai 'guhar'
ilm-o-hunar ki main wo ghaTa chhoD jaunga
(1213) Peoples Rate This