Main Gharq Wahan Pyas Ke Paikar Ki Tarah Tha
main gharq wahan pyas ke paikar ki tarah tha
har qatra jahan ek samundar ki tarah tha
ghar sare shikasta the guzar-gahen andheri
kuchh shahr mera mere muqaddar ki tarah tha
aaj us ka jahan mein koi pursan hi nahin hai
kal tak jo zamane mein sikandar ki tarah tha
tha is ke muqaddar mein likha Dubna Duba
haalanki wo dariya mein shanawar ki tarah tha
kya meri haqiqat thi gulistan mein na puchho
main tha magar ek tair-e-be-par ki tarah tha
jab shahr mein patthar hi ki thi umr ganwai
duniya mein tujhe jina bhi aazar ki tarah tha
dil ke bhi zamane mein badalte rahe andaz
dariya ki tarah tha kabhi patthar ki tarah tha
duniya-e-adab mein sabhi kahte hain jise 'mir'
ek lafz-o-maani ke samundar ki tarah tha
ras aai 'guhar' KHub mujhe dasht-nawardi
har aabla-e-pa mera gauhar ki tarah tha
(779) Peoples Rate This