Jis Taraf Bhi Dekhiye Saya Nahin
jis taraf bhi dekhiye saya nahin
phir bhi gulshan hai koi sahra nahin
log baiThe hain usi ki chhanw mein
sae se jis peD ka rishta nahin
kaam agar aae nigah-e-haq-shanas
phir kisi pahlu koi dhoka nahin
haq-pasand mera dastur-e-amal
yani bik jaana mera shewa nahin
dosto rakkho haqiqat par nazar
KHwab aankhon mein kabhi palta nahin
us ki duniya mein nahin qimat koi
jo kasauTi par khara utra nahin
wusaten dil ki hain dariya ki tarah
kaun kahta hai ki dil dariya nahin
dard-o-gham wo kis ke samjhe ai 'guhar'
apne ghar se jo kabhi nikla nahin
(728) Peoples Rate This