Gham Nahin Jo LuT Gae Hum Aa Ke Manzil Ke Qarib
gham nahin jo luT gae hum aa ke manzil ke qarib
jaane kitni kashtiyan Dubi hain sahil ke qarib
sarfaroshi meri koi rang dikhla jaegi
aa gaya hun ye irada le ke qatil ke qarib
sirf dil ki be-hisi thi fasla kuchh bhi na tha
jab kiya ehsas paya aap ko dil ke qarib
tum ne jo rakkha yun hi taKHrib-karana mizaj
kaun aane dega tum ko apni mahfil ke qarib
rukte hain kab rokne se mauj-e-tufan ke 'guhar'
hausle wale pahunch jate hain sahil ke qarib
(846) Peoples Rate This