Dil Ke Daman Mein Jo Sarmaya-e-afkar Na Tha
dil ke daman mein jo sarmaya-e-afkar na tha
zindagi thi magar us ka koi mear na tha
jaane kyun baat meri un ko giran-bar hui
lafz aisa to koi shamil-e-guftar na tha
kaun sunta meri kis ko main sadaen deta
aisi ghaflat thi ki ehsas bhi bedar na tha
har taraf dhup thi phaili hui uryani ki
sar chhupane ko kahin saya-e-kirdar na tha
aasman chir ke rakh deti sadarat meri
wo to kahiye koi dushman pas-e-diwar na tha
zahr ka ghunT bil-aKHir use pina hi paDa
baat ye thi wo zamane ka taraf-dar na tha
us ki begana-rawi se use samjha main ne
tishna-e-KHun-e-wafa tha karam-e-asar na tha
jis ko dekha wo haqaeq pe tha parda Dale
aaina-dar-e-haqiqat koi kirdar na tha
eatibar-e-dil-e-pur-shauq bhi paida karte
kaam aane ka faqat jazba-e-isar na tha
kaam aankhon se na lete to bhala kya karte
dard pinhan the bahut par lab-e-izhaar na tha
sarfaraazi meri qismat mein na thi warna 'guhar'
nok-e-neza pe pahunchna koi dushwar na tha
(853) Peoples Rate This