Charagh Se Kabhi Taron Se Raushni Mange
charagh se kabhi taron se raushni mange
andheri raat bhi kis kis se zindagi mange
jalane wale jalate hain nafraton ke charagh
faza-e-waqt mohabbat ki raushni mange
wo na-shanas-e-haqiqat hai is zamana mein
wafa ko bhik samajh kar gali gali mange
nishat-o-ranj muqaddar ki baat hoti hai
kisi se gham na kisi se koi KHushi mange
har ek shaKHs mein andaz-e-kaj-adai hai
magar ye dil hai ki rah rah ke dosti mange
jahan suron ki haqiqat na ho wahan pe 'guhar'
jo koi mange to kya taj-e-khusrawi mange
(873) Peoples Rate This