Zindagi Ki Raushni Ke Istiare KHwab Hain
zindagi ki raushni ke istiare KHwab hain
dekhiye tabir kya ho kitne pyare KHwab hain
buKHl hai karte nahin KHwabon ki KHushiyon mein sharik
aao hum dete hain tum ko jo hamare KHwab hain
jin ki aankhen thi haqiqat ke tajassus mein magan
un ka daman dekhiye sare ke sare KHwab hain
jagte mein so raha tha un ke jazbon ka shuur
nind us ki hai magar us mein hamare KHwab hain
be-sukun lamhon mein sona hai giran ehsas ka
qarz hai tabir un ki jo udhaare KHwab hain
so gaya tha waqt ke neze pe sar rakkhe hue
main ne ye kaisi bulandi se utare KHwab hain
hum haqiqat mein guzar jaenge KHwabon ki tarah
raushni, zulmat, mah-o-KHurshid sare KHwab hain
(753) Peoples Rate This