Ulfat Ye Chhupaen Hum Kisi Ki
ulfat ye chhupaen hum kisi ki
dil se bhi kahen na apni ji ki
jaane wo kya kisi ki ji ki
jis ko ulfat na ho kisi ki
KHwahish na bar aai apni ji ki
hum ne kis kis ki dosti ki
achchhi nahin sharh aashiqi ki
puchho na aji kisi ki ji ki
ye roe ki nama bah ke pahuncha
ashkon ne hamare qasidi ki
surKHi magar us ke lab ki dekhi
rangat hai safed aarsi ki
aashiq the wo hum ki baad apne
miTTi hi KHarab aashiqi ki
ai abr-e-shab-e-firaq sach kah
rote kaTti hai shab kisi ki
dil zulf-e-rasa talak to pahuncha
itni baKHton ne rahbari ki
bijli chamki to abr roya
yaad aa gai kya hansi kisi ki
hum kisi ki gali ki rah bhule
jo KHizr ne bhi na rahbari ki
dil ko mere KHak mein milaya
dilbar ne KHub dilbari ki
sozish mere dil ki dekh ai mah
kar sair is burj-e-atishi ki
wo tifl-e-nusairi aae shayad
qasmen dun murtaza-ali ki
gardan-zadani thi shama-e-sarkash
kyun us ki gali se ham-sari ki
bas rakh diya KHat mein barg-e-sausan
jab likh na sake sifat misi ki
Thukra ke chali jabin ko mere
qismat ke likhe ne yawari ki
ye rashk hai munh jo yar dekhe
surat dekhun na aarsi ki
bhula tha main rah-e-ku-e-qatil
tu ne ai maut rahbari ki
us ke gardan talak na pahuncha
ai dast-e-daraaz kotahi ki
dil ko pala baghal mein tu ne
goya dushman se dosti ki
(862) Peoples Rate This