Tum Wafa Ka Ewaz Jafa Samjhe
tum wafa ka ewaz jafa samjhe
ai buto tum se bas KHuda samjhe
pan kha kar jo aae maqtal mein
kya shahidon ka KHun-baha samjhe
sar qalam karne ka tha KHat mein jo haal
us ka mazmun hum juda samjhe
kab wo talwon se aankhen malne de
jo ki mizhgan ko KHar-e-pa samjhe
ho gaya jab qalam hamara sar
apni qismat ka tab likha samjhe
dauDe kya ho ke KHush su-e-maqtal
us ke hum ghar ka rasta samjhe
kisi surat se hum ko aane de
kash darwaze ka gada samjhe
yaad-e-dandan mein jo baha aansu
us ko hum durr-e-be-baha samjhe
chandni par wo phir rakhe na qadam
hum faqiron ka boriya samjhe
teri abru ko jo hilal kaha
mah-e-nau se bhi kuchh siwa samjhe
marun to wo jawab-e-nama likhe
KHat na aane ka muddaa samjhe
hath uTha kar laga jo kosne wo
wah re hum use dua samjhe
jo hai begana aashna hai wo
hum jo kahte hain koi kya samjhe
hum ko nazron se pisti hain aap
chashm-e-bad dur tutiya samjhe
jab se us kuche mein qadam rakkha
kimiya ko bhi KHak-e-pa samjhe
tujh ko o naujawan kaha be-misl
aaj mani-e-la-fata samjhe
hum ne jab dekhi chandni chhiTki
teri utri hui qaba samjhe
kasa-e-mah jab se dekh liya
tab se gardun ko hum gada samjhe
apne fahmid puchh mat 'goya'
kuchh na samjhe ye barha samjhe
(831) Peoples Rate This